kisi ko raj-dulare fareb dete rahe kisi ko jaan se pyare fareb dete rahe yaqin milta raha thartharaate honton se magar nazar ke ishaare fareb dete rahe tamam raat mein chalta raha hun kanton par tamam raat sitare fareb dete rahe kanwal khila tha mohabbat ka jis ke pani par wo jhil us ke kinare fareb dete rahe sarab banta gaya pal mein har hasin manzar mujhe to sare nazare fareb dete rahe wafa na karta agar ek hasin to baat bhi thi 'asad' ko sare ke sare fareb dete rahe