dil kuchh samajh saka na muamme janab ke andaz hi ajab hain sawal-o-jawab ke dil le ke mera ishq ki saughat bakhsh di qurban jaiye karam-e-be-hisab ke kal kaenat-e-husn nahin husn-e-kaenat rukh aur bhi hain jalwa-e-zer-e-naqab ke har khun-e-arzu se nae hausle mile mamnun hum hain koshish-e-na-kaamyab ke jaan-e-aziz de ke hayat-e-dawam li zinda hun kyun na mare hue inqalab ke waiz tera khudai ka dawa nahin gunah karta hai aaj faisle roz-e-hisab ke kyun kar na munfarid hon 'khayali' ghazal ke sher auraq muntashir hain ye dil ki kitab ke