dil lage hijr mein kyun kar mera dil tera sa nahin patthar mera yun to ruthe hain magar logon se puchhte haal hain aksar mera rah niklegi na kab tak koi teri diwar hai aur sar mera kahte hain aah ki dekhen tasir na hua wasl mayassar mera ye to kah kaun si tadbir na ki na hua tu hi sitamgar mera kya sunun ai dil-e-bad-zan teri dost hai to wo muqarrar mera lutf ranjish ke dikhata tum ko kya kahun bas nahin dil par mera unhen milna nahin mujh se manzur kis ki taqsir muqaddar mera puchhna kya hai chalen jaen aap zor chalta nahin tum par mera ghair ka haal hai kahna manzur kahte hain zikr mila kar mera rashk-e-dushman ka gila karta hun hai qusur is mein sarasar mera khwahish-e-dil kahin bar aae 'nizam' dil kai din se hai muztar mera