jhuka ke sar ko chalna jis jagah ka qaeda tha mere sar ki bulandi se wahan mahshar bapa tha qusur-e-be-khudi mein jis ko suli di gai hai hamare hi qabile ka wo tanha sar-phira tha use jis shab madhur aawaz mein gana tha lazim riwayat hai ki us shab bhi parinda chup raha tha farishte dam-ba-khud khaif sarasima faza thi hujum-e-gumrahan tha aur khuda ka samna tha musafir jis ke rukne ki tawaqqo thi zyaada na jaane kyun bahut jaldi safar par chal diya tha