waraq waraq jo zamane ke shahkar mein tha wo zindagi ka sahifa bhi intishaar mein tha jise main dhund raha tha nawa-e-bulbul mein wo naghma pairahan-e-gul ke tar tar mein tha main qatl ho ke zamane mein sarfaraaz raha ki meri jit ka pahlu bhi meri haar mein tha kaleje sare darakhton ke sahme jate the hawa ka rukh tha bhala kis ke ikhtiyar mein tha wo na-shanas-wafa sej par tha phulon ki main aashna-e-wafa dasht-e-khar-khar mein tha dayar-e-ghair mein hasil thin shohraten mujh ko main ajnabi ki tarah apne hi dayar mein tha samajh raha tha main khwabida khud ko sahil par khuli jab aankh to dariya ki tez dhaar mein tha nigah walon mein us ka bharam na rah paya wo sang tha magar aainon ki qatar mein tha mohabbaten thin mere ikhtiyar mein lekin mohabbaton ka sila us ke ikhtiyar mein tha chamak raha wahi gauhar-e-wafa ban kar 'guhar' jo ashk meri chashm-e-intizar mein tha