dil markaz-e-hijab banaya na jaega un se bhi raaz-e-ishq chhupaya na jaega sar ko kabhi qadam pe jhukaya na jaega un ke nuqush-e-pa ko mitaya na jaega be-wajh intizar dikhane se faeda kah dijiye ki samne aaya na jaega aankhon mein ashk qalb pareshan nazar udas is tarah un ko chhod ke jaya na jaega wo khud kahen to sharh-e-mohabbat bayan karun naghma baghair saz sunaya na jaega behtar yahi hai zikr-e-mohabbat na chhediye naqsha bigad gaya to banaya na jaega dil ki taraf 'shakil' tawajjoh zarur ho ye ghar ujad gaya to basaya na jaega