hosh-o-shakeb-o-tab-o-sabr-o-qarar pancho qurban kar chuka hun main tujh pe yar pancho ek dard-e-hijr se bas ye panch aarize hain be-hoshi be-qarari ghash tap bukhar pancho mutrib pisar ke gham mein bhate hain kis ke dil ko gori aiman alabba des aur malar pancho iman-o-din-o-mal-o-dil aur naqd-e-jaan bhi main kar chuka hun pyare tujh par nisar pancho gar tu qasam bhi khae jhute hain mere pyare paiman-o-ahd-o-wada qaul-o-qarar pancho karte hain qatl-e-alam zalim ye uzw tere mizhgan-o-chashm-o-abru zulf-o-azar pancho kohsar-o-dasht-o-dariya gulzar-o-bazm-e-ishrat hain khar san nazar mein be-ru-e-yar pancho is tarah mein ghazal ka likhna hai ghair-mumkin ai 'sehr' koi bandhe go ab hazar pancho