dil mein kisi khalish ka guzar chahta hun main jaisi bhi ho bas ek nazar chahta hun main kham ho ke phir na utthe wo sar chahta hun main uth kar jo kham na ho wo nazar chahta hun main hote hi tazkira koi aa jae ru-ba-ru itna buland zauq-e-nazar chahta hun main mera sukun shauq hai sab kuchh mere liye nalon ko be-niyaz asar chahta hun main kya puchhte ho maqsad-e-izhaar-e-arzu sharh-e-wafa pe naqd-o-nazar chahta hun main paiham gham-e-firaq se ghabra gaya hai dil kuchh imtiyaz-e-sham-o-sahar chahta hun main ji chahta hai aag laga dun naqab mein jalwon se intiqam-e-nazar chahta hun main muhtaj-e-rahbar hun jahan khizr tak 'shakil' aisi bhi koi rahguzar chahta hun main