dil mein baitha tha ek dar shayad aaj bhi hai wo ham-safar shayad hath patthar se ho gae khali ped par hai nahin samar shayad dhundhta tha wajud apna wo tha idhar ab gaya udhar shayad surkhiyan ug rahi hain daman par ho gaya hath khun se tar shayad phul ulfat ke khil rahe hon jahan hoga aisa bhi ek nagar shayad bekali badh gai hai dariya ki kah gaya jhuk ke kuchh shajar shayad dard ka ho gaya hai maskan wo log kahte hain jis ko ghar shayad mil ke un se khushi hui mujh ko wo bhi honge to khush magar shayad rote rote hansi meri khwahish mil gai ek nai khabar shayad din ka katna muhaal hai to sahi raat ho jaegi basar shayad aag pani mein jo lagata hai wo bhi hoga koi bashar shayad sehn-e-dil se khushi nahin guzri rasta tha wo pur-khatar shayad dhup ke ghar ghata gai 'jafar' khushk karne ko baal-o-par shayad