dil mein bhara za-bas-ki khayal-e-sharab tha manind aaine ke mere ghar mein aab tha maujen kare hai bahr-e-jahan mein abhi to tu jaanega baad-e-marg ki aalam habab tha ugte the dast-e-bulbul-o-daman gul baham sahn-e-chaman namuna-e-yaum-ul-hisab tha tuk dekh aankhen khol ke us dam ki hasraten jis dam ye sujhegi ki ye aalam bhi khwab tha dil jo na tha to raat za-khud-raftagi mein 'mir' gah intizar o gah mujhe iztirab tha