visal-e-yar bhi hai daur mein sharab bhi hai qamar bhi hai mere pahlu mein aaftab bhi hai ye husn ki nahin jadugari to phir kya hai ki teri aankh mein shokhi bhi hai hijab bhi hai kisi ko tab kahan hai ki tujh ko dekh sake jo nur hai tere rukh par wahi naqab bhi hai subut-e-ishq ko ye do gawah kafi hain jigar mein dagh bhi hai dil mein iztirab bhi hai ghurur-e-husn tujhe jis qadar ho zeba hai khuda ke fazl se surat bhi hai shabab bhi hai sitam ki chaal sitam ki ada sitam ki nigah tere sitam ka sitamgar koi hisab bhi hai mere liye nahin pine ki kuchh kami saqi ki chashm-e-mast bhi hai saghar-e-sharab bhi hai 'jalil' ne tumhein chaha to kya gunah kiya tumhin batao tumhaara koi jawab bhi hai