teri tund-khui teri kina-jui teri kaj-adai teri bewafai bala hai sitam hai ghazab hai qayamat duhai duhai duhai duhai haqiqat ne chakkar mein dala tha hum ko tariqat bure waqt par kaam aai hama-dast ka masala jab hai aage to kaisi dui aur kaisi judai udhar pas chilman ke maujud the wo idhar the pareshan un ke fidai raha sharm-o-shokhi ka dilkash tamasha na jalwa dikhaya na surat chhupai madad kar zara aur ai josh-e-ulfat ki arman dil ka nikal jae dil se kabhi jalwa-gah tak guzar ho hamara abhi rahguzar tak hui hai rasai bharam khul gaya us se ayyariyon ka khula raaz bhi us se makkariyon ka churaya tha tum ne agar dil hamara to dil ko chura kar nazar kyun churai udhar sab se parda idhar sab mein jalwa yahan war aalim wahan aur manzar kahin wo ayan hai kahin wo nihan hai kabhi husn-poshi kabhi khud-numai jahan mein bashar un se ho be-talluq koi man le hum na manenge us ko ki chaaron taraf hain yahi chaar chizen mohabbat adawat bhalai burai barabar hain dair-o-haram ke maraatib masawi hain donon gharon ki haqiqat nahin farq kuchh bhi hamari nazar mein wahi but-parasti wahi jubba-sai jinhen aish-o-rahat ka arman hoga unhen aish-o-rahat ka arman hoga tumhaari mohabbat mein hum ne bala se wo paya na paya ye pai na pai ye bartao kya hain ye atwar kya hain zara aap sochen zara aap samjhen hamin par kisi roz chashm-e-inayat hamin se kisi waqt be-e'tinai bahaar aae muzhda masarrat ka le kar dhuan-dhaar utthin falak par ghataen idhar jam chhalke udhar tauba tute baham zohd-o-rindi mein ho hatha-pai agar ho koi ru-shanasi ka talib to pahle muqallid bane aaine ka kudurat se allah mahfuz rakkhe badi shai hai duniya mein dil ki safai ye tauqir-o-tahqir mein bahs kaisi ki hain donon baaten khuda ki taraf se wo rai ko chahe to parbat bana de wo parbat ko chahe to ban jae rai kisi ko rulao kisi ko jalao kisi ko satao kisi ko mitao khudai ka gham kya zamane ka dar kya tumhaara zamana tumhaari khudai hazaron bakhede hazaron jhamele hazaron tawahhum hazaron taraddud magar aap aaen to mehman rakh lun mere dil mein ab bhi hai utni samai jo bande khuda ke khuda par na rakkhen to rakkhen bharosa khudai mein kis par banaya unhen ahl-e-hajat usi ne karega wahi un ki hajat-rawai ye andher khata ye kufran-e-neamat zamane ko ai 'nuh' kya ho gaya hai khuda ke karam se to beda na dube magar pae shohrat teri na-khudai