kaam koi to kaam ka karte

kaam koi to kaam ka karte
haq to ye tha ki haq ada karte

kya tariqa hai baadshahat ka
hum faqiron se mashwara karte

us sitamgar ki ye bhi khwahish thi
zulm sah kar bhi iltija karte

jari rakhte ye silsila kab tak
wo bura aur hum bhala karte

be-khata bhi sazaen bhugti hain
hum khataen nahin to kya karte

lab khule hi na ru-ba-ru un ke
kis tarah arz-e-muddaa karte

qarz ka bojh tha kisanon par
khud-kushi ke alawa kya karte

baad mein karte faisla pahle
apne dil se to mashwara karte

mujh pe tohmat lagane wale log
pahle khud ko to aaina karte

khud-parasti hi jin ka shewa hai
aise logon se kya gila karte


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close