dil mein har-waqt khayal-e-dar-e-jaanana hai yani kabe ke muqaddar mein sanam-khana hai zauq-e-rangin mera aaina-e-mai-khana hai mai hai shabnam meri aur gul mera paimana hai hai wahi dil jo kisi shoale ka muhtaj nahin apni hi aag mein jal jae wo parwana hai dil mein armanon ke sukhe hue kuchh phul sahi koi ye to na kahega ki ye virana hai ab ye aalam hai meri tishna-labi ka saqi ashk aankhon mein hain aur hath mein paimana hai wo kahin jalwa-numa ho to qayamat ho jae sara aalam jise be-dekhe hi diwana hai laghzishon ka meri ab to hai ye aalam ai 'shauq' kanpte hathon mein tuta hua paimana hai