hum KHuda kahte hain sab jis ko sanam kahte hain

hum khuda kahte hain sab jis ko sanam kahte hain
tum na kahna use allah jo hum kahte hain

ranj kahte hain kise kis ko alam kahte hain
hum to is ko bhi tera fazl-o-karam kahte hain

pad ke bimar ayaadat ko bulaya tujh ko
dekh o rashk-e-masiha ise dam kahte hain

log dete hain tere qad ko alam se tashbih
hum teri zulf ko daman-e-alam kahte hain

apni bimar se ab tak to hai suja-phula
hath panw pe chadh aaya hai waram kahte hain

sar bhi kat jae to ai yar na khaen kabhi hum
jis ko kahte hain qasam hum use sam kahte hain

jo janaza hai wo insan ko nasihat-gar hai
waz kya rah-raw-e-mulk-e-adam kahte hain

khol kar nama-e-amal to apna dekhen
mal-o-asbab ko jo log raqam kahte hain

us ne bheji hai jo ye phul ki botal hum ko
hum use nakhl-e-mohabbat ki qalam kahte hain

qissa-e-ishq ko kab ek zaban kafi hai
kabhi karte hain bayan wo kabhi hum kahte hain

chashm-o-abru-e-butan shaikh-o-barahman dekhen
dair kahte hain ise is ko haram kahte hain

mere nazdik to ye kam nahin izzat meri
mujh ko wo banda-e-be-dam-o-diram kahte hain

sifat-e-katib-e-taqdir ke likhne wale
arsa-e-hashr ko maidan-e-qalam kahte hain

log kahte hain jise pamba-e-mina saqi
rind-e-mai-khwar use abr-e-karam kahte hain

sail-e-bosa ko tum ne na diya hae jawab
kuchh na kuchh munh se bashar la-o-na'am kahte hain

'kaif' hai yaad jinhen kalima-e-mutu har dam
apni is hasti-e-fani ko adam kahte hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close