dil to dil shart ye hai jaan bhi qurban karna

dil to dil shart ye hai jaan bhi qurban karna
kuchh hansi-khel nahin aap ka arman karna

mere wahshat ke wo andaz kahan un ko nasib
phul sikhen to abhi chaak-e-gareban karna

aur kuchh un ko nahin ghair ke qisson se gharaz
kuchh na kuchh kah ke mere dil ko pareshan karna

bujhne wala hai mariz-e-gham-e-ulfat ka charagh
dushmanon se koi kah de ki charaghan karna

aasman ko hai chamakte hue taron pe ghurur
tum zara apni jabin ko to pur-afshan karna

ai dil-e-zar ye aaya nigah-e-naz ka tir
hausle se bhi siwa khatir-e-mehman karna

sun raha hun ki phir aane ko hai gulshan mein bahaar
tauq-e-zanjir ka mere liye saman karna

aafaten kunj-e-qafas ki hain muqaddar mein 'ziya'
kab mayassar ho mujhe sair-e-gulistan karna


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close