dil mein khayal-e-ishq tha mehman ki tarah arman saja tha 'mir' ke diwan ki tarah wusat zamin ki kho gai basti ki bhid mein galiyon mein shor bas gaya maidan ki tarah sar par falak ko odhe bichhae zamin wo baitha hai shan se kisi sultan ki tarah ghafil mere wajud se saya mera raha tha ham-safar wo shahr mein anjaan ki tarah rakhta hun main aziz riwayat ka silsila girte mere makan ke dalan ki tarah ye munfail si zindagi mujh ko nahin qubul ahd-e-junun ke chaak-e-gareban ki tarah tewar se us ke aag tamanna mein lag gai jalne laga hai dil mera shamshan ki tarah tere baghair 'sahni' taron ke darmiyan mahfil udas thi rah-e-viran ki tarah