tabib ho ke bhi dil ki dawa nahin karte

tabib ho ke bhi dil ki dawa nahin karte
hum apne zakhmon se koi dagha nahin karte

parinde udne lage hain ghurur ke tere
hawa mein kaghzi par se uda nahin karte

nakel dalni hai nafs ke iradon par
bina lagam ke ghode thama nahin karte

dua ko hath uthate nahin har ek ke liye
to ye bhi sach hai ki hum bad-dua nahin karte

ye surkh aandhiyan kya 'chand' ka bigadengi
buland ped hawa se gira nahin karte


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close