dil wahi dil jise nashad kiye jata hun yani rah rah ke unhen yaad kiye jata hun sai-e-zabt-e-gham-e-bedad kiye jata hun pukhta-tar ishq ki buniyaad kiye jata hun dil ko waqf-e-gham-e-bedad kiye jata hun apna ghar aap hi barbaad kiye jata hun ek wo hain ki taghaful se nahin un ko gurez ek main hun ki unhen yaad kiye jata hun kya ye kam zulm hai kuchh ghaur to kije dil mein aap hanste hain main fariyaad kiye jata hun bhul kar ahd-e-guzishta ki hikayat 'shakil' dil ko har fikr se aazad kiye jata hun