dua mein zikr kyun ho muddaa ka ki ye shewa nahin ahl-e-raza ka talab meri bahut kuchh hai magar kya karam tera hai ek dariya ata ka kahan tak naz uthae aakhir ai husn hawas tere mizaj-e-khud sata ka nahin malum kya ai shah-e-khuban tujhe kuchh haal apne mubtila ka baja-e-ism-e-azam aap ka nam wazifa hai mera subh o masa ka ghazab ka samna hai aashiqon ko dayar-e-haq mein afwaj-e-bala ka nisar un par hue achchhe rahe hum taqaza tha yahi khu-e-wafa ka gunahgaro chalo afw-e-ilahi bahut mushtaq hai arz-e-khata ka teri mahfil mein ahl-e-dil ko jalwa nazar aa jaega shan-e-khuda ka uthaya hai maza dil ne bahut kuchh mohabbat ke gham-e-rahat-faza ka jafa ko bhi wafa samjho ki 'hasrat' tumhein haq un se kya chun-o-chara ka