dil mein kya us ko mila jaan se hum dekhte hain balki jaan hai wahi jab dhyan se hum dekhte hain chupke baithe hue hairan se hum dekhte hain tum to dekho tumhein kis shan se hum dekhte hain dil nikal jata hai be-sakhta us dam apna dar mein jis dam tujhe dalan se hum dekhte hain kahte hain ek tumhin to nahin hum par marte saikdon jate hue jaan se hum dekhte hain wan se mayus chale to hain na puchho phir kuchh pichhe phir phir ke kis arman se hum dekhte hain kya gila aap ka jo hum ko dikhae qismat aaj kuchh aur hi saman se hum dekhte hain kuchh ruka sa jo unhen dekhte hain mahfil mein munh ko ek ek ke hairan se hum dekhte hain allah allah re ai but teri afzaish-e-husn tujh ko har lahza nai aan se hum dekhte hain hae qismat ki adu kahne ko apna matlab munh lagate hain tere kan se, hum dekhte hain kabhi jaane ka irada jo wo karte hain 'nizam' hae us waqt kis arman se hum dekhte hain