shab ke hathon gira aur kahin rah gaya chand phir be-falak be-zamin rah gaya chalte rahte to milne ka imkan tha jo jahan ruk gaya wo wahin rah gaya khud ko khoe hue kya kise dhundte tum kahin rah gae main kahin rah gaya kaun rakkhe hisab-e-shab-o-roz jab shab kahin rah gai din kahin rah gaya kho gaya jo bhi zad-e-safar pas tha khwab odhe hue ek yaqin rah gaya tum mile hi kahan milne jaise mujhe main jahan tha wahin ka wahin rah gaya sab guzarta gaya sab guzarne diya phir bhi kya kya na dal ke qarin rah gaya main uthae hue ye badan chal pada dil bhi raazi tha phir bhi wahin rah gaya baad muddat ke ab sochna bhi hai kya pas kya rah gaya kya nahin rah gaya