ham-nafas hai na ham-nashin koi mahram-e-raaz-e-dil nahin koi meri rudad puchhne wale mujh sa andoh-gin nahin koi zakhm dil ne jahan-jahan khae yaad aaya wahin wahin koi dhundhta hai tamazat-e-gham mein saya-e-zulf-e-ambarin koi dil hai phir mubtala-e-wahm-o-guman phir dilae mujhe yaqin koi la-makan hai fareb-e-fikr-o-nazar khalwat-e-dil mein hai makin koi baat dil ki zaban pe kya aae dil mein baitha hai nukta-chin koi ashk-e-hasrat sametne ko 'tufail' mil hi jaegi aastin koi