jo yahan hazir hai wo misl-e-guman maujud hai

jo yahan hazir hai wo misl-e-guman maujud hai
aur jo ghaeb hai us ki dastan maujud hai

ai ghubar-e-khwahish-e-yak-umr apni rah le
is gali mein tujh se pahle ek jahan maujud hai

ab kisi amboh-e-gum-gashta ki jaanib ho safar
aur koi chupke se kah de tu kahan maujud hai

shayad aa pahuncha hai ahd-e-intizar-e-guftugu
chaar jaanib khilqat-e-lab-bastagan maujud hai

raat phir aankhon se bah nikli tamanna-e-visal
aisa lagta tha ki tu bhi darmiyan maujud hai

pahle thi ek tishnagi mahrumiyon se ham-kanar
ab ragon mein nashsha-e-umr-e-rawan maujud hai

azm khud ko karwan-e-nafa mein shamil na kar
tere shanon par abhi bar-e-ziyan maujud hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close