dil mein rahna hai pareshan khayalon ka hujum aur aankhon mein qayamat ka saman rahta hai ishq ke raaz ko jitna mein nihan rakhta hun khamushi se meri utna hi ayan rahta hai rota rahta hun kisi gham-zada ke rone par aur dil-e-markaz-e-alam jahan rahta hai rifat-e-fikr hai hasil mujhe ulfat ke tufail jo na ye ho to kahan husn-e-bayan rahta hai lala-kari ka saliqa bhi nigah ko aaya aansuon ki jagah ab khun rawan rahta hai kashti-e-zist hai girdab-e-bala mein 'saib' aaj-kal nam-e-khuda wird-e-zaban rahta hai