faza khamosh zamin dang aasman chup hai zamana chikh raha hai magar jahan chup hai tatolta hun dar-e-taq ajnabi ki tarah mere makan ke andheron mein shama-dan chup hai usi se khatra-e-ifsha-e-raaz hai darpesh wo aadmi jo hamare hi darmiyan chup hai bahut sambhal ke guzar zindagi ke lamhon se na jaane gir pade kab ret ka makan chup hai nigah mein koi manzil na koi samt-e-safar hawa khamosh hai kashti ka baadban chup hai tamasha dekh rahe hain tere dayar ke log main khud hun mehr-ba-lab meri dastan chup hai ye kaisa ulta zamana hai in dinon 'saib' ki aasman ke zamin sar hai aasman chup hai