dil na mana aql ne ye baat samjhai bahut ishq mein har gam pe hoti hai ruswai bahut shohraton ke waste hai bazm-arai bahut mahfilen ras aain tum ko hum ko tanhai bahut is ghalat-fahmi mein main ne kho diya apna waqar us ne ki thi ek din meri pazirai bahut kuchh hasin yaadon ke manzar sham se aankhon mein the shab ko mere pas nind aai to pachhtai bahut aisi basti mein miyan amn-o-aman ka kya sawal sulh-ju kam hon jahan par aur balwai bahut go ba-zahir hath us ke khun-aluda nahin nafraton ki aag lekin us ne bhadkai bahut bik rahe hain aaj-kal be-bhaw logon ke zamir log kyon kahte hain duniya mein hai mahngai bahut ehtisab-e-zist karne ke liye baitha tha main yaad aai doston ki kar-farmai bahut zindagi bhar main raha hun rahraw-e-rah-e-wafa in wafaon ki magar main ne saza pai bahut pasta-qad koshan hain mera qad ghatane ke liye par mujhe allah ne bakhshi hai unchai bahut talib-e-shohrat nahin 'bebak' main ye soch kar ek do ka zikr kya us ke hain shaidai bahut