dil mein shoala sa utha ho jaise tur lau de ke jala ho jaise wo mere pas se ho kar guzre subh-dam baad-e-saba ho jaise ab to roke nahin rukte aansu aabla phut gaya ho jaise un ki khamosh nigahon se mujhe koi paigham mila ho jaise be-sabab kyon meri aankhen nam hain us ne phir yaad kiya ho jaise ghunche gulshan mein hanse khub hanse mera afsana suna ho jaise so gaya chhanw mein zulfon ki 'tarab' koi rahgir thaka ho jaise