yahi surat rahi to

yahi surat rahi to
guzar li zindagi to

hai duniya jab ye duniya
rahegi kuchh kami to

ai fursat itni fursat
milun khud se kabhi to

mujhe be-khwab kar de
ki so lun do ghadi to

bas ab ek qahqaha hun
kahin kho di hansi to

lahu aansu ki pani
hai palkon tak nami to

ye main hi chikh uttha
hun aakhir aadmi to

main khud mein laut aaya
thi andar raushni to

faqiri bechta hun
ganwa di sarwari to

zuhal ho ya atarid
hamin the mushtari to

wahi diwangi hai
wahi diwangi to

hamari aastin mein
rahe hain aap bhi to

ab itni hadbadi kyon
le gathri bandh li to

kidhar nikli jawani
abhi tak thi abhi to


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close