ghamon mein bhi masarrat ki farawani nahin jati hamare zakhm-e-dil ki khanda-samani nahin jati na jaane kaun se aalam mein le aaya junun mujh ko ki manzil samne hai aur pahchani nahin jati ba-zahir to chaman mein har taraf jashn-e-bahaaran hai na jaane kyon gulon ki chaak-damani nahin jati hamari khairiyat wo puchhte rahte hain ghairon se khalish dard-e-mohabbat ki ba-asani nahin jati mah-o-khurshid-o-anjum par kamanden dalne walo sabab kya hai ki zehnon ki pareshani nahin jati abhi tak khud-gharaz hathon mein hai nazm-e-chaman shayad bahaar aai magar gulshan ki virani nahin jati hamari kashti-e-ummid ke wo nakhuda thahre abhi tak nabz-e-tufan jin se pahchani nahin jati guzar jata hai ek saya sa dil ki rah-guzaron se gham-e-mazi ki ab tak fitna-samani nahin jati 'tarab' shayad wahi manzil hai sarhad husn-e-jaanan ki jahan se aur aage aql-e-insani nahin jati