dudh jaisa jhag lahren ret aur ye sipiyan jin ko chunti phir rahi hain motiyon si ladkiyan bagh mein bachchon ke gird-o-pesh yun udti phiren jaise qatil apna apna dhundhti hun titliyan wo mujhe khushiyan na de aur meri aankhen nam na hon hai ye paiman zindagi ke aur mere darmiyan baam-o-dar un ke hawa kis pyar se chhuti rahi chandni ki god mein jab so rahi thin bastiyan kal yahi bachche samundar ko muqabil paenge aaj tairaate hain jo kaghaz ki nannhi kashtiyan ghumna pahron ghane mahke hue ban mein 'kamal' wapsi mein dekhna apne hi qadmon ke nishan