gham-e-firaq ka khatka visal-e-yar mein hai khizan ka khauf hamein mausam-e-bahaar mein hai nikal ke jism se aankhon mein aa ke thahri hai hamari ruh-e-rawan kis ke intizar mein hai kisi ko naqd-e-shahadat na de saki ab tak barae nam ye kaudi teri katar mein hai kudurat un ko hai mujh se ye saf sabit hai jo khat likha hai to wo bhi khat-e-ghubar mein hai shab-e-firaq ke sadme uthaunga kyunkar sakat zara bhi nahin ab to jaan-e-zar mein hai gunahgar rahun sadqe hoti hai rahmat wo dozakhi hun ki jannat bhi ikhtiyar mein hai na jaaniyega ki main dur dur rahta hun tasawwur aap ka har dam meri kanar mein hai dam aa ke aankhon mein dekhe to rah un ki magar ghazab ye hai ki taghaful mizaj-e-yar mein hai shab-e-firaq ka puchho na haal kuchh 'wahbi' ziyaada hashr ke din se mere shumar mein hai