dil mera aaj mere pas nahin mujh mein kuchh hosh aur hawas nahin dil lagaya jahan jafa dekhi kya bala ishq mujh ko ras nahin pas hai yas gard hai dil ki aur ab koi aas-pas nahin aap to apna arz kar le haal dil hamein tab-e-iltimas nahin yun khuda chahe to mila de use wasl ki par hamein to aas nahin main bhi kuchh ho gaya hun pazhmurda dil hi mera faqat udas nahin kya mile tujh se koi dil-dada aashnai ki tujh mein bas nahin hai ghafurur-rahim teri zat sab se hai yas tujh se yas nahin ek dar hai to dost ka mujh ko dushmanon se to kuchh hiras nahin tere khatir ye sab se dur hua tu bhi tujh ko 'hasan' ka pas nahin