khird-mandon se kya puchhun ki meri ibtida kya hai ki main is fikr mein rahta hun meri intiha kya hai khudi ko kar buland itna ki har taqdir se pahle khuda bande se khud puchhe bata teri raza kya hai maqam-e-guftugu kya hai agar main kimiya-gar hun yahi soz-e-nafas hai aur meri kimiya kya hai nazar aain mujhe taqdir ki gahraiyan is mein na puchh ai ham-nashin mujh se wo chashm-e-surma-sa kya hai agar hota wo majzub-e-farangi is zamane mein to 'iqbaal' us ko samjhata maqam-e-kibriya kya hai nawa-e-subh-gahi ne jigar khun kar diya mera khudaya jis khata ki ye saza hai wo khata kya hai