parwaz mein jo sath na de aasman par behtar hai khak daliye aisi udan par ab qurb-o-baad mein na raha koi fasla duniya simat ke aa gai mere makan par mera harif darpai-e-azar hai mere mujh ko hadaf banata hai wahm-o-guman par shah-zor se kabhi nahin karta muqabla chalta hai us ka zor faqat be-zaban par mizan-e-adl ko nahin lata ba-ru-e-kar karta hai inhisar wo farzi bayan par ye khu-e-be-niyazi hai mujh ko bahut aziz aae kabhi na harf meri aan-ban par jis ki nahin hai aaj kahin koi yaadgar karta hai fakhr wo mere nam-o-nishan par dehli mein ek shaer-e-gumnam ka kalam 'barqi' hai ab muhit zaman-o-makan par