ghadi ghadi hai hamein apne meherban ka khayal na kuchh zamin ki khabar hai na aasman ka khayal ye be-khudi hai ki jis din se dil laga baithe kahan ka hosh kahan ki khabar kahan ka khayal ude hue hain raqibon ke hosh pe ab tak jo dil mein aap ke aaya tha imtihan ka khayal adu se hanste rahe raat bhar sar-e-mahfil kiya na tum ne mere chasm-e-khun-fashan ka khayal kisi ko do na sar-e-bazm be-dhadak gali khuda ke waste rakkho zara zaban ka khayal qadam jo bhul ke rakkhen rah-e-mohabbat mein to khizr ko bhi na ho umr-e-jawedan ka khayal laga na khuld mein bhi dil main kya bayan karun wahan bhi mujh se na chhuta tere makan ka khayal main us taraf kabhi rukh bhul kar nahin karta main kya bataun jab aata hai pasban ka khayal khuda ke waste mano mera kaha ai 'ranj' khuda ke waste chhodo ye hai kahan ka khayal