jab chale jaenge hum laut ke sawan ki tarah yaad aaenge pratham pyar ke chumban ki tarah zikr jis dam bhi chhida un ki gali mein mera jaane sharmae wo kyun ganw ki dulhan ki tarah mere ghar koi khushi aati to kaise aati umr-bhar sath raha dard mahajan ki tarah koi kanghi na mili jis se sulajh pati wo zindagi uljhi rahi bramha ke darshan ki tarah dagh mujh mein hai ki tujhmen ye pata tab hoga maut jab aaegi kapde liye dhoban ki tarah har kisi shakhs ki qismat ka yahi hai qissa aae raja ki tarah jae wo nirdhan ki tarah jis mein insan ke dil ki na ho dhadkan 'niraj' shairi to hai wo akhbar ke katran ki tarah