dil mera tuta to us ko kuchh malal aa hi gaya apne bachpan ke khilaune ka khayal aa hi gaya hashr mein mazlum sab chup rah gae munh dekh kar aakhir is zalim ke kaam us ka jamal aa hi gaya hans ke bola jab phansa baalon mein khun-aluda dil jal phailaya tha main ne us mein lal aa hi gaya chhup ke gar mah-e-siyam aata to mai kyun chhutti kya karun main samne mere hilal aa hi gaya dil tha us ka lekin ab hum mar ke denge hur ko wo pasheman hai ki waqt-e-intiqal aa hi gaya kanp uthe ghusse se wo sun kar meri fariyaad ko naghma aisa tha ki aakhir un ko haal aa hi gaya meri nazron se koi ai 'shauq' sikhe jazb-e-ishq ban ke til aankhon mein us ke rukh ka khal aa hi gaya