fariyaad aur tujh ko sitamgar kahe baghair manun na hashr mein tere munh par kahe baghair dekho ye rang-e-rukh ka shagufa ki mera ishq zahir hua hai kahne se badh kar kahe baghair munh dekhta hi rah gaya kahne ko jab gaya palta main haalat-e-dil-e-muztar kahe baghair pakdo meri zaban to surat se hoshiyar kholegi raaz ye sar-e-mahshar kahe baghair hakla ke aaj main ne kaha us se apna shauq taskin-e-dil hui na mukarrar kahe baghair sunne ko tum kaho to mere dil ki ek baat barson se phir rahi hai zaban par kahe baghair karta hai har sawal ye hujjat ki mashq wo koi jawab hi nahin kyunkar kahe baghair mashuq hi to kitna hi bad-tar hua is ka jaur banti nahin hai baat hi behtar kahe baghair mana ki dil shikan thin sar-e-bazm phabtiyan lekin na rah saka koi mujh par kahe baghair main ye samajh gaya ki wo ghar mein nahin hai aaj darban ne khud hi khol diya dariya kahe baghair kya kya kahe hain sher hasinon ke wasf mein kya 'shauq' ho gaya hai sukhnawar kahe baghair