dil mit gaya to khair zarurat nahin rahi hasrat ye rah gai hai ki hasrat nahin rahi ye dil badal gaya ki zamana badal gaya ya teri aankh mein wo murawwat nahin rahi teri nazar ke sath badalta raha hai dil do roz bhi to ek si haalat nahin rahi tar-damani se hath na dho ai dil-e-hazin kya ab khuda ki josh pe rahmat nahin rahi dekhega khwab mein bhi na wo surat-e-sukun jis ko khuda se chashm-e-inayat nahin rahi un ki gali nahin hai na un ka harim hai jannat bhi mere waste jannat nahin rahi kis shab tadap tadap ke na kati tamam shab kis roz mere ghar pe qayamat nahin rahi 'nadir' na aae harf tumhaari zaban par wo sher kya hai jis mein fasahat nahin rahi