main band aankhon se kab talak ye ghubar dekhun koi to manzar siyah dariya ke par dekhun kabhi wo aalam ki us taraf aankh hi na utthe kabhi ye haalat ki us ko diwana-war dekhun ye kaisa khun hai ki bah raha hai na jam raha hai ye rang dekhun ki dil jigar ka fishaar dekhun ye sari be-manzari sawad-e-sukut se hai sada wo chamke to dhund ke aar-par dekhun tere siwa bhi hazar manzar hain dekhne ko tujhe na dekhun to kyun tera intizar dekhun