ghuncha-e-shauq muskuraya hai aaj kis ka khayal aaya hai mera husn-e-yaqin maaz-allah main ne but ko khuda banaya hai ek tabassum hayat-e-ghuncha sahi ek tabassum bhi kis ne paya hai hae wo kaif-e-intizar jise teri yaadon ne gudgudaya hai jis ko abr-e-bahaar kahte hain wo tere gesuon ka saya hai tere qurban duri-e-manzil tu ne zauq-e-safar badhaya hai us ka maqruz hai khuda-e-karim jis ne muflis pe rahm khaya hai waqt ki tez-gamiyan tauba hum se aage hamara saya hai subh-dam dekh kar gulon ko 'bahaar' der tak koi yaad aaya hai