dil na lo dil ka ye lena hai na ikhfa hoga is ko dil kahte hain bas lete hi charcha hoga tum ko har aan udhar howegi husn-arai hum ko har lahza idhar zauq-e-tamasha hoga hum bhi sau chah se dekhenge tumhaari jaanib tum se bhi zabt-e-tabassum na phir asla hoga jun hi hum dekhenge tum aur tabassum hoge chah ka ghuncha-e-sar-basta wahin wa hoga guftugu howegi baham jo ishaaraat ke sath matn is ka bhi harifon mein muhashsha hoga panw tak hath jo lawenge kisi uzr se hum tadne walon mein shor is ka bhi barpa hoga jab ye taqrir suni us shah-e-khuban ne 'nazir' hum se dil le liya aur hans ke kaha kya hoga