hasad kisi se na ranj-o-malal rakhte hain hum apni zat adim-ul-misal rakhte hain kisi ke aib pe tikti nahin hamari nigah nazar mein husn to dil mein jamal rakhte hain hamari baat kisi ko giran na ho jae kahin pe bolen to is ka khayal rakhte hain huzur-e-yar bhala kaise arz-e-haal karen hum aisi tab na aisi majal rakhte hain use ubharne ka mauqa kabhi nahin dete wagarna wirse mein hum bhi jalal rakhte hain ye aur baat ki anjaane laghzishen ho jaen magar shuur-e-haram-o-halal rakhte hain sila wafaon ka kyon bewafai hota hai tumhaare samne hum ye sawal rakhte hain uchhal ke chalte nahin aur rengte bhi nahin hamesha chaal mein hum e'tidal rakhte hain hamare chehre ko har ek padh nahin sakta hum apne aap mein ye bhi kamal rakhte hain wo jis ne chhini mata-e-hayat ai 'bebak' hum us se bhi to talluq bahaal rakhte hain