dil na qabu mein hai na dilbar hai maut is zindagi se behtar hai aaiye jab mizaj mein aae khana-e-dil huzur ka ghar hai ai ajal khana-e-jahan se nikal ki ye ehsan had se bahar hai rone baithun to log kahte hain abr-e-tar hai ki dida-e-tar hai kahti hai khubi-e-khiram-e-butan kabk pa-posh ke barabar hai thak gae ku dukan-e-sang-andaz tera diwana hai ki patthar hai khush hain is sarw-e-naz se gul-o-sarw dost-parwar hai banda-parwar hai puchhte kya ho is faqir ka haal ab to takiya faqat khuda par hai wahi achchhe jo khana-viran hain ghar banana fasad ka ghar hai khwab mein bu-e-yar aati hai farsh to farsh ghar moattar hai kyon na chamke ghazal tamam ai 'rashk' munh ka mazmun mah-e-anwar hai