hum siyah-bakhton ko suli par chadhana aur hai dar-e-isa aur hai zulf-e-chalipa aur hai khud-bakhud qurban hone ke liye jate hain log rah-e-maqtal aur hai kabe ka rasta aur hai kis ne dekha hai khuda ko dekhte hain tum ko sab tur-e-musa aur hai kotha tumhaara aur hai nama-e-jaanan hai ya likkha meri taqdir ka khat ki insha aur hai likhne ki imla aur hai aaina aaina-e-ariz ko pahunche munh kahan aks dena aur hai hairan karna aur hai dil kahan ai 'rashk' dast-e-kotah-e-wahshat kahan mera sahra aur hai majnun ka sahra aur hai