ehtimam-e-rang-o-bu se gulistan paida karen aao mil-jul kar bahaar-e-be-khizan paida karen kyun sukut-e-be-mahal se dastan paida karen dida-o-danista apne raazdan paida karen ras aa sakta hai mir-e-karwan banne ka khwab shart ye hai pahle apna karwan paida karen kar-arai to khud hai hasil-e-takmil-e-kar dil mein kya andesha-e-sud-o-ziyan paida karen apna e'ajaz-e-tasawwur dekhne ki chiz hai hum jo chahen to makan mein la-makan paida karen waqt ko zid hi badal do rasm-e-arz-e-muddaa dil ye kahta hai ki hangama kahan paida karen aap ki marzi ka hai paband-e-rang-e-gulistan aap chahen to bahaar-e-jawedan paida karen ruh par hawi na ho jae faza-e-sogwar hum gham-e-dil se nishat-e-jawedan paida karen koshish-e-tamir ki takhrib-samani na puchh aashiyan-bardar shakhen bijliyan paida karen han sikha den rang-e-rukh ko aaina-dari ka fan bahr-e-arz-e-muddaa hum tarjuman paida karen phir bulata tun ke ye tewar kahan baqi 'uruj' haal-e-dil kah kar jawab-e-darmiyan paida karen