dil-o-dimagh jalae hain is amal ke liye nai zamin nikali nai ghazal ke liye nafasaton mein bhi apni misal aap hain hum gulon ke bose bhi hum ne sanbhal sanbhal ke liye safar mein rahte hain har-waqt khushbuon ki tarah sukun mila na kahin hum ko ek pal ke liye ye rah-e-ishq-o-wafa hai yahan ka maslak hai qadam qadam raho tayyar tum ajal ke liye hawa mein is qadar tezabiyat samai hai ki shakh shakh tarasti hai phul-o-phal ke liye hare bhare hain har ek haal mein wo ai 'akhtar' qalandaron ko koi gham nahin hai kal ke liye