gham-e-duniya pe gham-e-zat pe ro dete hain

gham-e-duniya pe gham-e-zat pe ro dete hain
gham ke mare hue har baat pe ro dete hain

hum ko rona hai to bas aaj ka hi rona hai
log guzre hue haalat pe ro dete hain

yaad aata hai kisi baat pe roe the kabhi
ab ye aalam hai ki har baat pe ro dete hain

hum to khud mod diya karte hain haalat ka rukh
hum nahin wo ki jo haalat pe ro dete hain

ye ada dekhi hai hum ne tere diwanon ki
jis pe hanste hain usi baat pe ro dete hain

aakhiri bar koi hum se mila tha aa kar
yaad aati hai to us raat pe ro dete hain

kal jo rukh pher liya karte the mujh se 'akhtar'
aaj wo bhi mere haalat pe ro dete hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close