jo ittifaq se hum sahab-e-farash hue to hum pe raaz-e-azizan bhi khub fash hue hum aaina to nahin phir bhi raat bistar par gire jo aa ke to girte hi pash-pash hue kise sunaiye aazadgan-e-shahr ka haal ki rafta-rafta sabhi kushta-e-maash hue na puchh ashk-e-riya-kar ka maal ai dost wo ashk to rukh-e-ehsas ki kharash hue tamam umr talash-e-sukun rahi hum ko tamam umr na aasuda-e-talash hue kahan ki naghma-sarai ki saz-e-hasti ke tamam tar hi mahrum-e-irtiash hue janab-e-'lais' jo ahbab se gurezan the ye inqalab to dekho ki yar-bash hue